aa gaya hai waqt ab bhugtoge KHamiyaze bahut
hum faqiron par kase tum ne bhi aawaze bahut
tum ne jo qisse kiye mansub meri zat se
thi haqiqat un mein thoDi aur andaze bahut
jin ko apni kaamyabi ka baDa pindar tha
hum ne dekhe hain bikharte un ke shiraaze bahut
ghuT na jae dam kahin nafrat ke is mahaul mein
kar liye hum ne muqaffal dil ke darwaze bahut
shahr ke mele mein yun to gul-ruKHon ki bhiD thi
in mein chehre the magar kam aur the ghaze bahut
bas wahi hoga raza ko teri jo manzur hai
kaam aaenge na computer ke andaze bahut
hum ne Thukrae na-jaane kitne aankhon ke payam
mah-washon ne hum pe khole dil ke darwaze bahut
rafta rafta waqt ke marham se bhar hi jaenge
ishq ne jo zaKHm baKHshe hain abhi taze bahut
hum sharif insan 'shabab' is ghar mein na-mahfuz hain
is mein darwaze to kam hain chor darwaze bahut
Ghazal
Aa gaya hai waqt ab bhugtoge KHamiyaze bahut
Shabab Lalit