aa gai sar par qaza lo sara saman rah gaya
ai falak kya kya hamare dil mein arman rah gaya
baghban hai chaar din ki bagh-e-alam mein bahaar
phul sab murjha gae KHali bayaban rah gaya
itna ehsan aur kar lillah ai dast-e-junun
baqi gardan mein faqat tar-e-gareban rah gaya
yaad aai jab tumhaare rup raushan ki chamak
main sarasar surat-e-aina hairan rah gaya
le chale do phul bhi is bagh-e-alam se na hum
waqt-e-rahlat haif hai KHali hi daman rah gaya
mar gae hum par na aae tum KHabar ko ai sanam
hausla ab dil ka dil hi mein meri jaan rah gaya
na-tawani ne dikhaya zor apna ai 'rasa'
surat-e-naqsh-e-qadam main bas numayan rah gaya
Ghazal
Aa gai sar par qaza lo sara saman rah gaya
Bhartendu Harishchandra