aa gai dhup meri chhanw ke pichhe pichhe
tishnagi jaise ho sahraon ke pichhe pichhe
naqsh bante gae ek panw se aage aage
naqsh miTte gae ek panw ke pichhe pichhe
tum ne dil-nagri ko ujDa hua ganw jaana
warna ek shahr tha is ganw ke pichhe pichhe
nind barbaad hai KHunab hain aankhen phir to
gar chalun qafiya-paimaon ke pichhe pichhe
aql har KHwab ki tabir ke pichhe bhage
dil azal hi se hai aashaon ke pichhe pichhe
an-sune ek bulawe ne ujaDe aangan
barkaten uTh gain sab maon ke pichhe pichhe
waswase rok ke baiThe hain hamara rasta
hadse hain ki lage panw ke pichhe pichhe
ho ke rahna hai kisi roz use bhi raushan
wo jo ek bhed hai rekhaon ke pichhe pichhe
ahl-e-dil DhunD koi aise chalega kab tak
apni be-sud tamannaon ke pichhe pichhe
apne baDhte hue gustaKH qadam rok 'raza'
ghaus o abdal chale maon ke pichhe pichhe
Ghazal
Aa gai dhup meri chhanw ke pichhe pichhe
Tauqeer Raza