اردو हिंदी
Aa gae kya charagh aankhon ke | Shaahi Shayari
aa gae kya charagh aankhon ke

Ghazal

Aa gae kya charagh aankhon ke

Rashid Imkan

;

aa gae kya charagh aankhon ke
arsh par hain dimagh aankhon ke

buDha hota hun ashk-bari mein
kab dhulenge ye dagh aankhon ke

zindagi bhar yunhi mahakte rahen
meri banhon mein bagh aankhon ke

aaj ke baad agar tujhe dekhun
TuT jaen ayagh aankhon ke

aainon hi mein wo chhupa hai kahin
mo'atabar hain suragh aankhon ke