aa gae ho to raho sath sahar hone tak 
hum bhi shayad hain yahi raat basar hone tak 
nama-bar sust-qadam us pe ye rah-e-dushwar 
zinda rahna hai hamein un ko KHabar hone tak 
dam nahin lenge kisi taur ye khate hain qasam 
zulm ki aahani diwar mein dar hone tak 
aasmanon se laDi dil se nikal kar ek aah 
ek pal chain se baiThi na asar hone tak 
aql KHamosh tamashai ki taswir bani 
ishq Takraya hai maidan ke sar hone tak 
KHwab-e-ghaflat se na bedar hue hum jo abhi 
zulm baDhta hi rahega ye sahar hone tak 
us ke kun kahne se taKHliq hue kaun-o-makan 
der kya lagti hai miTTi ko bashar hone tak 
lauT aane ko kaha us ne to aankhen 'athar' 
hum ne raste pe rakhin us ka guzar hone tak
        Ghazal
Aa gae ho to raho sath sahar hone tak
athar shakeel

