اردو हिंदी
A zist hamein tang na kar is se ziyaada | Shaahi Shayari
a zist hamein tang na kar is se ziyaada

Ghazal

A zist hamein tang na kar is se ziyaada

Kanti Mohan Soz

;

a zist hamein tang na kar is se ziyaada
itna to saha hum ne magar is se ziyaada

hum KHud bhi kamar bandh ke tayyar hain qasid
kya hogi tere pas KHabar is se ziyaada

ye dil ki dua hai ise kuchh kam na samajhiye
hoga abhi kuchh aur asar is se ziyaada

ye soch ke kal raat hamein nind na aai
kal hogi giran aur sahar is se ziyaada

mumkin hai ye hangama abhi bas na samajh 'soz'
karni ho tujhe umr basar is se ziyaada