a markaz-e-KHayal bikharne laga hun mein
apne tasawwuraat se Darne laga hun mein
is dopahar ki dhup mein saya bhi kho gaya
tanhaiyon ke dil mein utarne laga hun main
bardasht kar na paunga wahshat ki raat ko
ai sham-e-intizar bipharne laga hun main
is tirgi mein kirmak-e-shab-tab bhi nahin
tarikiyon ko ruh mein bharne laga hun main
ab dil mein teri yaad ki ek shama tak nahin
tarik raston se guzarne laga hun main
Ghazal
A markaz-e-KHayal bikharne laga hun mein
Farooq Nazki