اردو हिंदी
Hangama-ha-e-baada-o-paimana dekh kar | Shaahi Shayari
hangama-ha-e-baada-o-paimana dekh kar

Ghazal

Hangama-ha-e-baada-o-paimana dekh kar

Arsh Sahbai

;

hangama-ha-e-baada-o-paimana dekh kar
hum ruk gae hain rah mein mai-KHana dekh kar

ba-ehtiram saghar-o-mina baDha diye
saqi ne meri jurat-e-rindana dekh kar

phir yaad aa gai hai teri chashm-e-mai-farosh
mahfil mein raqs-e-baada-o-paimana dekh kar

hairan hun un ke dida-e-hairan ko kya kahun
diwane ho gae mujhe diwana dekh kar

tauba ka ehtiram bhi lazim raha magar
niyyat badal gai meri paimana dekh kar

har aastan se garche rahe be-niyaz hum
sajde mein gir gae dar-e-mai-KHana dekh kar