اردو हिंदी
Dil-e-muztar se nalan hain udhar wo bhi idhar hum bhi | Shaahi Shayari
dil-e-muztar se nalan hain udhar wo bhi idhar hum bhi

Ghazal

Dil-e-muztar se nalan hain udhar wo bhi idhar hum bhi

Arsh Sahbai

;

dil-e-muztar se nalan hain udhar wo bhi idhar hum bhi
mohabbat mein pareshan hain udhar wo bhi idhar hum bhi

kise fursat hai mazi ki purani dastan chheDe
gham-e-hazir mein ghaltan hain udhar wo bhi idhar hum bhi

ba-zahir koi hairani nahin tark-e-mohabbat par
magar dil mein pasheman hain udhar wo bhi idhar hum bhi

KHizan ke jaur-e-paiham ki shikayat hai to donon ko
talabgar-e-bahaaran hain udhar wo bhi idhar hum bhi

unhen jaane ki jaldi hai hamein zid hai ki ruk jaen
gharaz donon pareshan hain udhar wo bhi idhar hum bhi