KHwar-o-ruswa the yahan ahl-e-suKHan pahle bhi
aisa hi kuchh tha zamane ka chalan pahle bhi
muddaton baad tujhe dekh ke yaad aata hai
main ne sikha tha lahu rone ka fan pahle bhi
dil-nawaz aaj bhi hai nim-nigahi teri
dil-shikan tha tera be-saKHta-pan pahle bhi
aaj is tarah mila tu ki lahu jag uTha
yun to aati rahi KHushbu-e-badan pahle bhi
'shaz' wo jaanega un aankhon mein kya kya kuchh hai
jis ne dekhi ho un aankhon ki thakan pahle bhi
Ghazal
KHwar-o-ruswa the yahan ahl-e-suKHan pahle bhi
Shaz Tamkanat