azmat-e-fikr ke andaz ayan bhi honge
hum zamane mein subuk hain to garan bhi honge
jin sitaron ko KHuda man ke puja tha kabhi
ab unhin par mere qadmon ke nishan bhi honge
kaise rah sakti hain jannat ki fazaen shaffaf
KHak uDane ko hamin log wahan bhi honge
be-sutun azmat-e-farhad ka mazhar hai to kya
ahl-e-dil kitne hi benam-o-nishan bhi honge
dil kai aur bhi dhaDkeenge mere dil ki tarah
apne qisse ba-hadis-e-digaran bhi honge
yun to tazin-e-gul-o-ghuncha mein shamil hain sabhi
hae wo rang jo ab harf-e-KHizan bhi honge
jab shaguft-e-gul-e-baadam ki rut aaegi
koeTe ko nahin bhulenge jahan bhi honge
awwalin did mein hi apni nigahen kho kar
zindagi-bhar teri jaanib nigaran bhi honge
KHud-numai ke liye bante ho mazlum 'nasim'
zaKHm khae hain to kuchh un ke nishan bhi honge

Ghazal
Azmat-e-fikr ke andaz ayan bhi honge
Sadique Naseem