KHwab nadim hain ki tabir dikhane se gae
sae sae meri nindon ke sirhane se gae
yun bhi wo dil ho ki dirham pe khula rahta hai
apni ek waz-e-junun thi ki bahane se gae
rakh alaw ki ye bikhri hui jangal ki ye sham
kya zamane gae kya log zamane se gae
koi taswir sar-e-ab uThata hai bhala
ab hamein DhunDhte kya ho ki uThane se gae
'shaz-ji' ishq mein aisa hi hua karta hai
tum hue qais hue donon Thikane se gae

Ghazal
KHwab nadim hain ki tabir dikhane se gae
Shaz Tamkanat