kashti-e-dil nazr-e-tufan ho gai
ek mushkil aur aasan ho gai
subh-dam shabnam ko jaane kya hua
sohbat-e-gul se gurezan ho gai
us nazar ki sadgi to dekhiye
jo tere jalwon pe qurban ho gai
phul ko hairat-zada sa dekh kar
har kali gulshan mein hairan ho gai
mere pahlu se wo uTh kar kya gae
dil ki duniya saKHt viran ho gai
dil ki paiham be-qarari ke nisar
baDhte baDhte aafat-e-jaan ho gai
dekh kar meri pareshani ko 'arsh'
zindagi KHud bhi pareshan ho gai
Ghazal
Kashti-e-dil nazr-e-tufan ho gai
Arsh Sahbai