zarre zarre hain aks ke har-su
reza reza hain aaine har-su
yaad ki barq ho gai raqsan
aur aansu baras paDe har-su
jab se pani mara hai aankhon ka
shahr ke shahr jal gae har-su
KHushbuen gum hui kahan jaane
kaghzi phul hi mile har-su
Dhalte suraj ne raat boi thi
gul sitaron ke khil gae har-su
shab ka ghunghaT uThaya suraj ne
zarre zarre chamak uThe har-su
KHub-surat ghazal bani dulhan
mezbani mein lafz the harsu
koi gahak nazar nahin aata
aur bazar khul gae har-su
sukhte peD se gire patte
phir parinde bhi uD gae har-su
bandishen toD di hain dariya ne
aur zamin par hain zalzale har-su
ban na pae kumhaar se kuchh hum
chaak par ghumte rahe har-su
talwe mein til sabab safar ka hai
gird us til ke aable har-su
teri yaaden sarab sahra ke
tu hi 'sima' ko ab dikhe har-su
Ghazal
Zarre zarre hain aks ke har-su
Seema Sharma Meeruthi