اردو हिंदी
Wo ajnabi tha ghair tha kis ne kaha na tha | Shaahi Shayari
wo ajnabi tha ghair tha kis ne kaha na tha

Ghazal

Wo ajnabi tha ghair tha kis ne kaha na tha

Kishwar Naheed

;

wo ajnabi tha ghair tha kis ne kaha na tha
dil ko magar yaqin kisi par hua na tha

hum ko to ehtiyat-e-gham-e-dil aziz thi
kuchh is liye bhi kam-nigahi ka gila na tha

dast-e-KHayal-e-yar se phuTe shafaq ke rang
naqsh-e-qadam bhi rang-e-hina ke siwa na tha

DhunDa use bahut ki bulaya tha jis ne pas
jalwa magar kahin bhi sada ke siwa na tha

kuchh is qadar thi garmi-e-bazar-e-arzu
dil jo KHaridta tha use dekhta na tha

kaise karenge zikr-e-habib-e-jafa-pasand
jab nam doston mein bhi lena rawa na tha

kuchh yun hi zard zard si 'nahid' aaj thi
kuchh oDhni ka rang bhi khilta hua na tha