dil ko ranjida karo aankh ko pur-nam kar lo
marne wale ka koi der to matam kar lo
wo abhi lauTe hain haare hue lashkar ki tarah
saz-ha-e-tarab-angez zara kam kar lo
sansanate hain har ek samt hawaon ke bhanwar
apne bikhre hue atraf ko baham kar lo
itne tanha ho to is saat-e-be-masraf mein
apni aankhon mein koi chehra mujassam kar lo
ye zamin TuTe hue chand ki kheti hai 'zubair'
meri raaton mein bapa koi bhi aalam kar lo
Ghazal
Dil ko ranjida karo aankh ko pur-nam kar lo
Zubair Rizvi