ek zamana tha ki sab ek jagah rahte the
aur ab koi kahin koi kahin rahta hai
Ahmad Mushtaq
jis ki sanson se mahakte the dar-o-baam tere
ai makan bol kahan ab wo makin rahta hai
Ahmad Mushtaq
wo waqt bhi aata hai jab aankhon mein hamari
phirti hain wo shaklen jinhen dekha nahin hota
Ahmad Mushtaq
jo meri shabon ke charagh the jo meri umid ke bagh the
wahi log hain meri aarzu wahi suraten mujhe chahiyen
Aitbar Sajid
mohabbaten bhi usi aadmi ka hissa thin
magar ye baat purane zamane wali hai
Asad Badayuni
kitne achchhe log the kya raunaqen thin un ke sath
jin ki ruKHsat ne hamara shahr suna kar diya
Fatima Hasan
ab yaad-e-raftagan ki bhi himmat nahin rahi
yaron ne kitni dur basai hain bastiyan
Firaq Gorakhpuri