sail-e-zaman mein Dub gae mashhur-e-zamana log
waqt ke munsif ne kab rakkha qaem un ka nam
Anwar Sadeed
zulf thi jo bikhar gai ruKH tha ki jo nikhar gaya
hae wo sham ab kahan hae wo ab sahar kahan
Asghar Gondvi
waqt ki sai-e-musalsal kargar hoti gai
zindagi lahza-ba-lahza muKHtasar hoti gai
Asrar-ul-Haq Majaz
ye mohabbat ka fasana bhi badal jaega
waqt ke sath zamana bhi badal jaega
Azhar Lakhnawi
alag siyasat-e-darban se dil mein hai ek baat
ye waqt meri rasai ka waqt hai ki nahin
Aziz Hamid Madni
waqt ka patthar bhaari hota jata hai
hum miTTi ki surat dete jate hain
Baqi Siddiqui
waqt ke pas hain kuchh taswiren
koi Duba hai ki ubhra dekho
Baqi Siddiqui