nafrat ke KHazane mein to kuchh bhi nahin baqi
thoDa guzare ke liye pyar bachaen
Irfan Siddiqi
hamara KHun ka rishta hai sarhadon ka nahin
hamare KHun mein ganga bhi chanab bhi hai
Kanval Ziai
mere sehan par khula aasman rahe ki main
use dhup chhanw mein banTana nahin chahta
Khaavar Ejaz
ajib dard ka rishta hai sari duniya mein
kahin ho jalta makan apna ghar lage hai mujhe
Malikzada Manzoor Ahmad
mujh mein thoDi si jagah bhi nahin nafrat ke liye
main to har waqt mohabbat se bhara rahta hun
Mirza Athar Zia
pi sharab nam-e-rindan ta asar sun kaif ke
zikr-e-allah allah ho we gar kahe tu ram ram
Qurbi Velori
kisi ka koi mar jae hamare ghar mein matam hai
gharaz barah mahine tis din hum ko moharram hai
Rind Lakhnavi