kahte hain ki ummid pe jita hai zamana
wo kya kare jis ko koi ummid nahin ho
Aasi uldani
tum kahan wasl kahan wasl ki ummid kahan
dil ke bahkane ko ek baat bana rakhi hai
Agha Shayar Qazalbash
ab tak dil-e-KHush-fahm ko tujh se hain umiden
ye aaKHiri shamen bhi bujhane ke liye aa
my heart is optimistic yet, its hopes are still alive
come to snuff it out, let not this final flame survive
Ahmad Faraz
nai naslon ke hathon mein bhi tabinda rahega
main mil jaunga miTTi mein qalam zinda rahega
Alok Yadav
wo ummid kya jis ki ho intiha
wo wada nahin jo wafa ho gaya
Altaf Hussain Hali
mere junun ka natija zarur niklega
isi siyah samundar se nur niklega
Ameer Qazalbash
jhuTe wadon par thi apni zindagi
ab to wo bhi aasra jata raha
Aziz Lakhnavi