tum nazar kyun churae jate ho
jab tumhein hum salam karte hain
Abroo Shah Mubarak
tumhaare dil mein kya na-mehrbani aa gai zalim
ki yun phenka juda mujh se phaDakti machhli ko jal sin
Abroo Shah Mubarak
har ek baat ke yun to diye jawab us ne
jo KHas baat thi har bar hans ke Tal gaya
Ahmad Rahi
us ne sun kar baat meri Tal di
uljhanon mein aur uljhan Dal di
Aziz Hyderabadi
paDhe jao 'beKHud' ghazal par ghazal
wo but ban gae hain sune jaenge
Bekhud Dehlvi
sun ke sari dastan-e-ranj-o-gham
kah diya us ne ki phir hum kya karen
Bekhud Dehlvi
unhen to sitam ka maza paD gaya hai
kahan ka tajahul kahan ka taghaful
Bekhud Dehlvi