mohabbat ke iqrar se sharm kab tak
kabhi samna ho to majbur kar dun
Akhtar Shirani
mila kar KHak mein bhi hae sharm un ki nahin jati
nigah nichi kiye wo samne madfan ke baiThe hain
Ameer Minai
sharm bhi ek tarah ki chori hai
wo badan ko churae baiThe hain
Anwar Dehlvi
jam le kar mujh se wo kahta hai apne munh ko pher
ru-ba-ru yun tere mai pine se sharmate hain hum
Ghamgeen Dehlvi
shab-e-wasl kya jaane kya yaad aaya
wo kuchh aap hi aap sharma rahe hain
Javed Lakhnvi
hamin jab na honge to kya rang-e-mahfil
kise dekh kar aap sharmaiyega
Jigar Moradabadi
us husn ka shewa hai jab ishq nazar aae
parde mein chale jaana sharmae hue rahna
Muneer Niyazi