sab sitare dilasa dete hain
chand raaton ko chiKHta hai bahut
Alok Mishra
aas kya ab to umid-e-na-ummidi bhi nahin
kaun de mujh ko tasalli kaun bahlae mujhe
Amirullah Tasleem
hum ko na mil saka to faqat ek sukun-e-dil
ai zindagi wagarna zamane mein kya na tha
Azad Ansari
hum to kuchh der hans bhi lete hain
dil hamesha udas rahta hai
Bashir Badr
KHuda ki itni baDi kaenat mein main ne
bas ek shaKHs ko manga mujhe wahi na mila
Bashir Badr
kar raha tha gham-e-jahan ka hisab
aaj tum yaad be-hisab aae
Faiz Ahmad Faiz
na jaane kis liye ummid-war baiTha hun
ek aisi rah pe jo teri rahguzar bhi nahin
Faiz Ahmad Faiz