akbar dabe nahin kisi sultan ki fauj se
lekin shahid ho gae biwi ki nauj se
Akbar Allahabadi
uton ke pahle bande the mison ke ab hue KHadim
hamein har ahd mein mushkil raha hai ba-KHuda hona
Akbar Allahabadi
dhamka ke bose lunga ruKH-e-rashk-e-mah ka
chanda wasul hota hai sahab dabaw se
Akbar Allahabadi
ghazab hai wo ziddi baDe ho gae
main leTa to uTh ke khaDe ho gae
Akbar Allahabadi
haqiqi aur majazi shaeri mein farq ye paya
ki wo jame se bahar hai ye pajame se bahar hai
Akbar Allahabadi
is qadar tha khaTmalon ka chaarpai mein hujum
wasl ka dil se mere arman ruKHsat ho gaya
Akbar Allahabadi
jab gham hua chaDha lin do botalen ikaTThi
mulla ki dauD masjid 'akbar' ki dauD bhaTTi
Akbar Allahabadi