koi nalan koi giryan koi bismil ho gaya
us ke uThte hi digar-gun rang-e-mahfil ho gaya
Abul Kalam Azad
jaane kya mahfil-e-parwana mein dekha us ne
phir zaban khul na saki shama jo KHamosh hui
Aleem Masroor
uTh ke us bazm se aa jaana kuchh aasan na tha
ek diwar se nikla hun jo dar se nikla
Aleem Masroor
shab-e-visal hai gul kar do in charaghon ko
KHushi ki bazm mein kya kaam jalne walon ka
Dagh Dehlvi
mujh tak us mahfil mein phir jam-e-sharab aane ko hai
umr-e-rafta palTi aati hai shabab aane ko hai
Fani Badayuni
tumhaari bazm se nikle to hum ne ye socha
zamin se chand talak kitna fasla hoga
Kafeel Aazar Amrohvi
fareb-e-saqi-e-mahfil na puchhiye 'majruh'
sharab ek hai badle hue hain paimane
Majrooh Sultanpuri