ek tujh ko dekhne ke liye bazm mein mujhe
auron ki samt maslahatan dekhna paDa
Fana Nizami Kanpuri
duniya se kaho jo use karna hai wo kar le
ab dil mein mere wo alal-elan rahega
Farhat Ehsas
sans leti hai wo zamin 'firaq'
jis pe wo naz se guzarte hain
Firaq Gorakhpuri
tum muKHatib bhi ho qarib bhi ho
tum ko dekhen ki tum se baat karen
close to me you are there
should I speak or should I stare/see
Firaq Gorakhpuri
us dushman-e-wafa ko dua de raha hun main
mera na ho saka wo kisi ka to ho gaya
Hafeez Banarasi
aushan jamal-e-yar se hai anjuman tamam
dahka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam
Hasrat Mohani
kal chaudhwin ki raat thi shab bhar raha charcha tera
kuchh ne kaha ye chand hai kuchh ne kaha chehra tera
T'was a full moon out last night, all evening there was talk of you
Some people said it was the moon,and some said that it was you
Ibn e Insha