hansi mein kaTti thin raaten KHushi mein din guzarta tha
'kanwal' mazi ka afsana na tum bhule na hum bhule
kanval Dibaivi
yaad-e-mazi ki pur-asrar hasin galiyon mein
mere hamrah abhi ghum raha hai koi
Khurshid Ahmad Jami
kai na-ashna chehre hijabon se nikal aae
nae kirdar mazi ki kitabon se nikal aae
Khushbir Singh Shaad
allah-re be-KHudi ki chala ja raha hun main
manzil ko dekhta hua kuchh sochta hua
Moin Ahsan Jazbi
Tahni pe KHamosh ek parinda
mazi ke ulaT raha hai dafta
Rais Amrohvi
mazi se ubhrin wo zinda taswiren
utar gaya sab nashsha nae purane ka
Rajinder Manchanda Bani
mazi-e-marhum ki nakaamiyon ka zikr chhoD
zindagi ki fursat-e-baqi se koi kaam le
Seemab Akbarabadi