DhunD laya hun KHushi ki chhanw jis ke waste
ek gham se bhi use do-chaar karna hai mujhe
Ghulam Husain Sajid
phir de ke KHushi hum use nashad karen kyun
gham hi se tabiat hai agar shad kisi ki
Hafeez Jalandhari
agar teri KHushi hai tere bandon ki masarrat mein
to ai mere KHuda teri KHushi se kuchh nahin hota
Hari Chand Akhtar
masarrat zindagi ka dusra nam
masarrat ki tamanna mustaqil gham
Jigar Moradabadi
gham hai na ab KHushi hai na ummid hai na yas
sab se najat pae zamane guzar gae
Khumar Barabankavi
ahbab ko de raha hun dhoka
chehre pe KHushi saja raha hun
Qateel Shifai
gham aur KHushi mein farq na mahsus ho jahan
main dil ko us maqam pe lata chala gaya
Sahir Ludhianvi