apni ujDi hui duniya ki kahani hun main
ek bigDi hui taswir-e-jawani hun main
Akhtar Ansari
agon mein dauDti hain bijliyan lahu ke ewaz
shabab kahte hain jis chiz ko qayamat hai
Akhtar Ansari
shabab nam hai us jaan-nawaz lamhe ka
jab aadmi ko ye mahsus ho jawan hun main
Akhtar Ansari
hai qayamat tere shabab ka rang
rang badlega phir zamane ka
Akhtar Shirani
yaad aao mujhe lillah na tum yaad karo
meri aur apni jawani ko na barbaad karo
Akhtar Shirani
haya nahin hai zamane ki aankh mein baqi
KHuda kare ki jawani teri rahe be-dagh
Allama Iqbal
hai jawani KHud jawani ka singar
sadgi gahna hai is sin ke liye
youthfullness is itself an ornament forsooth
innocence is the only jewel needed in ones youth
Ameer Minai