phir kho na jaen hum kahin duniya ki bhiD mein
milti hai pas aane ki mohlat kabhi kabhi
Sahir Ludhianvi
tera milna KHushi ki baat sahi
tujh se mil kar udas rahta hun
Sahir Ludhianvi
tujh ko KHabar nahin magar ek sada-lauh ko
barbaad kar diya tere do din ke pyar ne
Sahir Ludhianvi
tujhe bhula denge apne dil se ye faisla to kiya hai lekin
na dil ko malum hai na hum ko jiyenge kaise tujhe bhula ke
Sahir Ludhianvi
tum mere liye ab koi ilzam na DhunDo
chaha tha tumhein ek yahi ilzam bahut hai
a reason to indict me, you need hardly pursue
is it not cause enough I fell in love with you
Sahir Ludhianvi
un ka gham un ka tasawwur un ke shikwe ab kahan
ab to ye baaten bhi ai dil ho gain aai gai
Sahir Ludhianvi
waise to tumhin ne mujhe barbaad kiya hai
ilzam kisi aur ke sar jae to achchha
Sahir Ludhianvi