'faraaz' ishq ki duniya to KHub-surat thi
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visal rakkha hai
Ahmad Faraz
hum tere shauq mein yun KHud ko ganwa baiThe hain
jaise bachche kisi tyauhaar mein gum ho jaen
Ahmad Faraz
kis kis ko bataenge judai ka sabab hum
tu mujh se KHafa hai to zamane ke liye aa
Ahmad Faraz
anjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhoD ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
tujh se mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost
tu meri pahli mohabbat thi meri aaKHiri dost
Ahmad Faraz
ye kin nazron se tu ne aaj dekha
ki tera dekhna dekha na jae
Ahmad Faraz
mohabbat ne 'mail' kiya har kisi ko
kisi par kisi ko kisi par kisi ko
Ahmad Husain Mail