main apne bap ke sine se phul chunta hun
so jab bhi sans thami bagh mein Tahal aaya
Hammad Niyazi
subh sawere nange panw ghas pe chalna aisa hai
jaise bap ka pahla bosa qurbat jaise maon ki
Hammad Niyazi
wo peD jis ki chhanw mein kaTi thi umr ganw mein
main chum chum thak gaya magar ye dil bhara nahin
Hammad Niyazi
eTiyan bap ki aankhon mein chhupe KHwab ko pahchanti hain
aur koi dusra is KHwab ko paDh le to bura manti hain
Iftikhar Arif
achche meri ungli thame dhire dhire chalte the
phir wo aage dauD gae main tanha pichhe chhuT gaya
Khalid Mahmood
jab bhi walid ki jafa yaad aai
apne dada ki KHata yaad aai
Mohammad Yusuf Papa
mera bhi ek bap tha achchha sa ek bap
wo jis jagah pahunch ke mara tha wahin hun main
Rais Farogh