اردو हिंदी
Hamare bas mein kya hai aur hamare bas mein kya nahin | Shaahi Shayari
hamare bas mein kya hai aur hamare bas mein kya nahin

Ghazal

Hamare bas mein kya hai aur hamare bas mein kya nahin

Hammad Niyazi

;

hamare bas mein kya hai aur hamare bas mein kya nahin
jahan-e-hast-o-bud mein kisi pe kuchh khula nahin

huzur-e-KHwab der tak khaDa raha sawer tak
nasheb-e-qalb-o-chashm se guzar tera hua nahin

nazar mein ek charagh tha badan mein ek bagh tha
charagh o bagh ho chuke koi riha raha nahin

ujaD gain haweliyan chali gain saheliyan
dila teri qabil se koi bhi ab bacha nahin

hawas ki razm-gah mein badan ki kar-gah mein
wo shor tha ki dur tak kisi ne kuchh suna nahin

na jaane kitne yug Dhale na jaane kitne dukh pale
gharon mein hanDiyon tale kisi ko kuchh pata nahin

wo peD jis ki chhanw mein kaTi thi umr ganw mein
main chum chum thak gaya magar ye dil bhara nahin