laga jab yun ki uktane laga hai dil ujalon se
use mahfil se us ki alwidaa kah kar nikal aae
Parvindar shokh
kaleja rah gaya us waqt phaT kar
kaha jab alwida us ne palaT ka
Pawan Kumar
ye ghar mera gulshan hai gulshan ka KHuda-hafiz
allah nigahban nasheman ka KHuda-hafiz
Qateel Shifai
ajib hote hain aadab-e-ruKHsat-e-mahfil
ki wo bhi uTh ke gaya jis ka ghar na tha koi
Sahar Ansari
ek din kahna hi tha ek dusre ko alwidaa
aaKHirash 'salim' juda ek bar to hona hi tha
Salim Shuja Ansari
ab mujh ko ruKHsat hona hai ab mera haar-singhaar karo
kyun der lagati ho sakhiyo jaldi se mujhe tayyar karo
Shabnam Shakeel
chhoDne main nahin jata use darwaze tak
lauT aata hun ki ab kaun use jata dekhe
Shahzad Ahmad