ze-haal-e-miskin makun taghaful durae nainan banae batiyan
ki tab-e-hijran nadaram ai jaan na lehu kahe lagae chhatiyan
Ameer Khusrau
hue namwar be-nishan kaise kaise
zamin kha gai aasman kaise kaise
Ameer Minai
KHanjar chale kisi pe taDapte hain hum 'amir'
sare jahan ka dard hamare jigar mein hai
Ameer Minai
tum ko aata hai pyar par ghussa
mujh ko ghusse pe pyar aata hai
Ameer Minai
wasl ka din aur itna muKHtasar
din gine jate the is din ke liye
Ameer Minai
subh hoti hai sham hoti hai
umr yunhi tamam hoti hai
Amirullah Tasleem
der lagi aane mein tum ko shukr hai phir bhi aae to
aas ne dil ka sath na chhoDa waise hum ghabrae to
Am grateful you came finally, though you were delayed
hope had not forsaken me, though must say was afraid
Andaleeb Shadani