gham se ehsas ka aaina jila pata hai
aur gham sikhe hai aa kar ye saliqa mujh se
Javed Vashisht
mere andar kai ehsas patthar ho rahe hain
ye shiraaza bikharna ab zaruri ho gaya hai
Khushbir Singh Shaad
eza reza kar diya jis ne mere ehsas ko
kis qadar hairan hai wo mujh ko yakja dekh ka
Khushbir Singh Shaad
mujhe ye Dar hai dil-e-zinda tu na mar jae
ki zindagani ibarat hai tere jine se
Khwaja Meer u0027Dardu0027
tanhai ke lamhat ka ehsas hua hai
jab taron bhari raat ka ehsas hua hai
Naseem Shahjahanpuri
hamein kam-baKHt ehsas-e-KHudi us dar pe le baiTha
hum uTh jate to wo parda bhi uTh jata jo hail tha
Natiq Gulavthi