dariyaon ki nazr hue
dhire dhire sab tairak
Aashufta Changezi
sahil pe log yunhi khaDe dekhte rahe
dariya mein hum jo utre to dariya utar gaya
Abdullah Javed
kaTi hui hai zamin koh se samundar tak
mila hai ghao ye dariya ko rasta de ka
Adeem Hashmi
jokham ai mardum-e-dida hai samajh ke rona
Dub bhi jate hain dariya mein nahane wale
Agha Hajju Sharaf
kaun kahta hai ki maut aai to mar jaunga
main to dariya hun samundar mein utar jaunga
Ahmad Nadeem Qasmi
main kashti mein akela to nahin hun
mere hamrah dariya ja raha hai
Ahmad Nadeem Qasmi
dariya ko apni mauj ki tughyaniyon se kaam
kashti kisi ki par ho ya darmiyan rahe
the river is concerned with the storms in its domain
the ship as well might get across or in the midst remain
Altaf Hussain Hali