ghalat-rawi ko teri main ghalat samajhta hun
ye bewafai bhi shamil meri wafa mein hai
Asim Wasti
tum ne kiya na yaad kabhi bhul kar hamein
hum ne tumhaari yaad mein sab kuchh bhula diya
you did not ever think of me even by mistake
and in your thoughts everything else I did forsake
Bahadur Shah Zafar
aashiqi mein bahut zaruri hai
bewafai kabhi kabhi karna
Bashir Badr
kuchh to majburiyan rahi hongi
yun koi bewafa nahin hota
she would have had compulsions surely
faithless without cause no one can be
Bashir Badr
na mudaraat hamari na adu se nafrat
na wafa hi tumhein aai na jafa hi aai
Bekhud Badayuni
jao bhi kya karoge mehr-o-wafa
bar-ha aazma ke dekh liya
Dagh Dehlvi
uD gai yun wafa zamane se
kabhi goya kisi mein thi hi nahin
Dagh Dehlvi