ab to us ke bare mein tum jo chaho wo kah Dalo
wo angDai mere kamre tak to baDi ruhani thi
Jaun Eliya
shayad wo din pahla din tha palken bojhal hone ka
mujh ko dekhte hi jab us ki angDai sharmai hai
Jaun Eliya
donon hathon se luTti hai hamein
kitni zalim hai teri angDai
Jigar Moradabadi
ilahi kya ilaqa hai wo jab leta hai angDai
mere sine mein sab zaKHmon ke Tanke TuT jate hain
Jurat Qalandar Bakhsh
angDai bhi wo lene na pae uTha ke hath
dekha jo mujh ko chhoD diye muskura ke hath
she couldn't even stretch out with her arms upraised
seeing me she smiled and composed herself all fazed
Nizam Rampuri
ab bhi barsat ki raaton mein badan TuTta hai
jag uThti hain ajab KHwahishen angDai ki
Till even now in rainy climes, my limbs are aching, sore
The yen to stretch out languidly then comes to the fore
Parveen Shakir
luT gae ek hi angDai mein aisa bhi hua
umr-bhar phirte rahe ban ke jo hoshiyar bahut
Qais Rampuri