kaun angDai le raha hai 'adam'
do jahan laDkhaDae jate hain
Abdul Hamid Adam
shaKH-e-gul jhum ke gulzar mein sidhi jo hui
phir gaya aankh mein naqsha teri angDai ka
Agha Hajju Sharaf
had-e-takmil ko pahunchi teri ranai-e-husn
jo kasar thi wo miTa di teri angDai ne
Anand Narayan Mulla
apne markaz ki taraf mail-e-parwaz tha husn
bhulta hi nahin aalam teri angDai ka
Aziz Lakhnavi
dil ka kya haal kahun subh ko jab us but ne
le ke angDai kaha naz se hum jate hain
how to describe my state when at the crack of dawn
she stretched in lagour and said it was time to be gone
Dagh Dehlvi
kaun ye le raha hai angDai
aasmanon ko nind aati hai
Firaq Gorakhpuri
dariya-e-husn aur bhi do hath baDh gaya
angDai us ne nashshe mein li jab uTha ke hath
Imam Bakhsh Nasikh