main bhi talab ka Thahra hua pani tha kabhi
ek patthar ne rawan dhaar kiya hai mujh ko
Abdur Rahim Nashtar
main teri chah mein jhuTa hawas mein sachcha hun
bura samajh le magar dusron se achchha hun
Abdur Rahim Nashtar
patthar ne pukara tha main aawaz ki dhun mein
maujon ki tarah chaaron taraf phail gaya hun
Abdur Rahim Nashtar
phaTe purane badan se kise KHarid sakun
saje hain kanch ke paikar baDi dukanon mein
Abdur Rahim Nashtar
us ne chalte chalte lafzon ka zahrab
mere jazbon ki pyali mein Dal diya
Abdur Rahim Nashtar
wo ajnabi teri banhon mein jo raha shab bhar
kise KHabar ki wo din bhar kahan raha hoga
Abdur Rahim Nashtar
wo so raha hai KHuda dur aasmanon mein
farishte loriyan gate hain us ke kanon mein
Abdur Rahim Nashtar