dhup baDhi to wo bhi apne apne panw khinch gae
main ne apne hisse ki jin peDon ko hariyali di
Ataul Hasan
kisi aur ko main tere siwa nahin chahta
so kisi se tera muwazana nahin chahta
Ataul Hasan
sirf taswir rah gai baqi
jis mein hum ek sath baiThe hain
Ataul Hasan
aansu tumhaari aankh mein aae to uTh gae
hum jab karam ki tab na lae to uTh gae
Ataur Rahman Jameel
aane wali aa nahin chukti jaane wali ja bhi chuki
waise to har jaane wali raat thi aane wali raat
Ataur Rahman Jameel
dil par barf ki sil rakh dena nagan ban kar Das lena
apne liye donon hi barabar kali ho ki ujali raat
Ataur Rahman Jameel
kuchh KHwab kuchh KHayal mein mastur ho gae
tum kya qarib nikle ki sab dur ho gae
Ataur Rahman Jameel