husn ko sharmsar karna hi
ishq ka intiqam hota hai
Asrar-ul-Haq Majaz
is mahfil-e-kaif-o-masti mein is anjuman-e-irfani mein
sab jam-ba-kaf baiThe hi rahe hum pi bhi gae chhalka bhi gae
Asrar-ul-Haq Majaz
izn-e-KHiram lete hue aasman se hum
haT kar chale hain rahguzar-e-karwan se hum
Asrar-ul-Haq Majaz
kab kiya tha is dil par husn ne karam itna
mehrban aur is darja kab tha aasman apna
Asrar-ul-Haq Majaz
kamal-e-ishq hai diwana ho gaya hun main
ye kis ke hath se daman chhuDa raha hun main
Asrar-ul-Haq Majaz
kuchh tumhaari nigah kafir thi
kuchh mujhe bhi KHarab hona tha
Asrar-ul-Haq Majaz
kyun jawani ki mujhe yaad aai
main ne ek KHwab sa dekha kya tha
Asrar-ul-Haq Majaz