main apne-ap se kam bhi hun aur ziyaada bhi
wo jaanta bhi hai mujh ko to jaanta kya hai
Syed Kashif Raza
us pe bas aise hi ghabrai hui phirti thi
aankh se husn simaTta hi nahin tha us ka
Syed Kashif Raza
wo jo maqam hai tera meri kahani mein
usi maqam pe main tere tazkire mein rahun
Syed Kashif Raza
wo jo maqam hai tera meri kahani mein
usi maqam pe main tere tazkire mein rahun
Syed Kashif Raza
ahrman ka raqs-e-wahshat har gali har moD par
barbariyyat dekh kar hai KHud qaza sahmi hui
Syed Shakeel Desnavi
gard-e-safar ke sath tha wabasta intizar
ab to kahin ghubar bhi baqi nahin raha
Syed Shakeel Desnavi
gard-e-safar ke sath tha wabasta intizar
ab to kahin ghubar bhi baqi nahin raha
Syed Shakeel Desnavi