phirti hai to phir jae badalti hai to badle
duniya ki nazar hai meri qismat to nahin hai
Syed Basit Hussain Mahir Lakhnavi
tark-e-ulfat se mohabbat ka likha miT na saka
wahi afsurdagi-e-sham-o-sahar aaj bhi hai
Syed Basit Hussain Mahir Lakhnavi
ek do zaKHm nahin jism hai sara chhalni
dard be-chaara pareshan hai kahan se nikle
Syed Hamid
is qadar ghaur se dekha hai sarapa us ka
yaad aata hi nahin ab mujhe chehra us ka
Syed Kashif Raza
is qadar ghaur se dekha hai sarapa us ka
yaad aata hi nahin ab mujhe chehra us ka
Syed Kashif Raza
kabhi kabhi mujhe lagta hai wo nahin hai wo
magar kabhi kabhi lagta hai wo wahi to nahin
Syed Kashif Raza
main apne-ap se kam bhi hun aur ziyaada bhi
wo jaanta bhi hai mujh ko to jaanta kya hai
Syed Kashif Raza