hakim-e-ishq ne jab aql ki taqsir suni
ho ghazab hukm diya des nikala karne
Siraj Aurangabadi
hamari baat mohabbat sin tum jo gosh karo
to apni prem kahani tumhein sunaunga
Siraj Aurangabadi
haq mein ushshaq ke qayamat hai
kya karam kya itab kya dushnam
Siraj Aurangabadi
hijr ki raaton mein lazim hai bayan-e-zulf-e-yar
nind to jati rahi hai qissa-KHwani kijiye
Siraj Aurangabadi
hiran sab hain baraati aur diwana ban ka dulha hai
pahar KHilat kun uryani ki phirta hai bana chhaila
Siraj Aurangabadi
is adab-gah kun tun masjid-e-jame mat bujh
shaiKH be-bak na ja gosha-e-mai-KHane mein
Siraj Aurangabadi
ishq aur aql mein hui hai shart
jit aur haar ka tamasha hai
Siraj Aurangabadi