ai nur-e-nazar muntazir-e-wasl hun aa ja
do paT palak ke nahin darwaza hua mahz
Siraj Aurangabadi
ai shoKH gulistan main nahin ye gul-e-rangin
aaya dil-e-sad-chaak mera rang badal ka
Siraj Aurangabadi
agula jin ke sar par chatr-e-shahi hai zamin masnad
wahi aqlim-e-gham mein aah ki naubat bajate hain
Siraj Aurangabadi
olta hun jo wo bulata hai
tan ke pinjre mein us ka tota hun
Siraj Aurangabadi
ut-paraston kun hai iman-e-haqiqi wasl-e-but
barg-e-gul hai bulbulon kun jald-e-quran-e-majid
Siraj Aurangabadi
ut-paraston kun hai iman-e-haqiqi wasl-e-but
barg-e-gul hai bulbulon kun jald-e-quran-e-majid
Siraj Aurangabadi
dam-o-qafas na chahiye dil ke shikar kun
karti hain band aankh ke Doron ki Doriyan
Siraj Aurangabadi