dil tha baghal mein muddai KHub hua jo gham hua
jaane se us ki in dinon hum ko baDa faragh hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
dil tha baghal mein muddai KHub hua jo gham hua
jaane se us ki in dinon hum ko baDa faragh hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
dil us ki tar-e-zulf ke bal mein ulajh gaya
suljhega kis tarah se ye bistar hai ghaza
Shaikh Zahuruddin Hatim
dil-e-nazuk mera hathon mein sambhaale rakhiyo
kahe deta hun ye ai sang-dilan hai shisha
Shaikh Zahuruddin Hatim
dil-e-sad-chaak mera rah yahan kab pae
kucha-e-zulf mein phirta hai tere shana KHara
Shaikh Zahuruddin Hatim
dil-e-sad-chaak mera rah yahan kab pae
kucha-e-zulf mein phirta hai tere shana KHara
Shaikh Zahuruddin Hatim
dil-e-ushshaq parindon ki tarah uDte hain
is bayaban mein kya ek bhi sayyaad nahin
Shaikh Zahuruddin Hatim

