kuchh tazkira-e-husn se raushan the dar-o-baam
kuchh shama ne bhi bazm ko chamkaya hua tha
Shahzad Ahmad
kuchh tere sabab thi mere pahlu mein hararat
kuchh dil ne bhi is aag ko bhaDkaya hua tha
Shahzad Ahmad
kuchh tere sabab thi mere pahlu mein hararat
kuchh dil ne bhi is aag ko bhaDkaya hua tha
Shahzad Ahmad
kyun bulati hai mujhe duniya usi ke nam se
kya mere chehre pe us ka nam hai likkha hua
Shahzad Ahmad
lete hain log sans bhi ab ehtiyat se
chhoTa sa hi sahi koi fitna uThaiye
Shahzad Ahmad
log zinda nazar aate the magar the maqtul
dast-e-qatil mein ba-zahir koi shamshir na thi
Shahzad Ahmad
main apni jaan mein use jazb kis tarah karta
use gale se lagaya laga ke chhoD diya
Shahzad Ahmad

