KHud hi taswir banata hun miTa deta hun
but-gari mere liye but-shikani ho jaise
Shahzad Ahmad
KHud par bhi kholiye na kabhi dil ki wardat
aaina samne ho to chehra chhupaiye
Shahzad Ahmad
khule asrar us par jism ke aahista aahista
bahut din mein use baaten na karne ka hunar aaya
Shahzad Ahmad
khule asrar us par jism ke aahista aahista
bahut din mein use baaten na karne ka hunar aaya
Shahzad Ahmad
khuli faza mein agar laDkhaDa ke chal na saken
to zahr pina hai behtar sharab pine se
Shahzad Ahmad
KHusha wo dard ke lamhe ki tere jaane par
hamari anjuman-e-gham mein lauT aae hain
Shahzad Ahmad
KHwahishon ki dhul se chehre ubharte hi nahin
hum ne kar ke dekh lin KHwabon ki tabiren bahut
Shahzad Ahmad

